Nazm - Watan ke liye dua
May 21, 2007 on 12:41 am | In Shoola e Gul | No CommentsKhuda karay keh mairi arz e pak par utray
woh fasal e gul jisay andaisha e zawaal na ho
yahaan jo phool khilay woh khila rahay sadiyoon
yahaan khizaan ko guzarnay ki bhi majaal na ho
yahaan jo sabza ugay woh humaisha rahay
aur aisa sabaz keh jis ki koi misaal na ho
khuda karay na khum o sar e waqar e watan
aur uss kay husan ko tasveesh e mah o saal na ho
har aik fard ho tahzeeb o fun ka ouj e kamaal
koi malool na ho koi khasta haal na ho
khuda karay kay mairay aik bhi hum watan kay liyeah
hayaat juram na ho zindagi wabaal na ho
Presentation of Urdu Poetry Forum - Get RSS Feed:
Entries and comments feeds.
^Top^