Nazm - Pat’thar
May 21, 2007 on 12:38 am | In Shoola e Gul | 1 CommentRait say butt na bana aye mairay achay funkar
aik lamhay ko thehar mein tujhay pathar la doon
mein tairay samnay ambaar laga doon laykin
koun say rung ka pathar tairay kaam aye ga
surkh pathar jis dil kehtee hai baydil duniya
ya phir woh pathrai hoi ankh ka neela pathar
jis mein sadiyoon kay tahaiyur kay paray hoon dooray
kaya tujhay rooh kay pathar ki zaroorat ho gi
jis pay haq baat bhi pathar ki tarh girti hai
ik woh pathar hai jisay kehtay hein tehzeeb e safaid
uss kay mar mar mein saya khoon jhalak jata hai
aik insaaf ka pathar bhi tu hota hai magar
haath mein taisha e zar ho tu woh hath aata hai
jitnay mayaar hein iss door kay sab pathar hein
jitnay afkaar hein iss door kay sab pathar hein
….
….
….
hath pathar hein tairay mairi zubaan hai
iss zamanay mein tu har fun ka nishaan pathar hai
Presentation of Urdu Poetry Forum - Get RSS Feed:
Entries and comments feeds.
^Top^